Sunday, July 22, 2012

Jab hawa ne chua tha , Gale se lagaya tha Laga tha ki tum ho.. Pehli barish ki jo boond mere hatho pe aayi Woh ansu tera tha Laga tha ki tum ho...... Sardi ki dhup ne jo garmi thi layi Laga tha ki saanson ki garmi teri thi Laga tha ki tum ho......... Lafzon se pehla harf jo kaha tha Laga tha ki shayad vo naam tera hota Laga tha ki tum ho........ Badal ke garajne ki aawaz ko sunke Dhadkan dil ki meri bhi badhi thi Laga tha ki tumne "pyar hai" kaha Toh laga tha ki tum ho........ Kehta hun main ki har jagah hi tumhi ho Par sach hai ki ek tum hi nahi ho Shayad ye hai ki mujhme hi tum ho Janna hai mujhko kya tujhme bhi main hun...........